Question: Assalam-o-Alayqum!
Hazrat meri rehnumai farmayen. Mene apni masjid ke Imam ko majid ke hujray mein aik bachay kay sath nazeba harkat kartay dekha tha (lip kissing ker rahay thay jab mein unkay liye khana le ker gaya tha. Bacha Imam ki ghod mein leta tha. Ye waqt masjid mein bachon ke Quran parhnay ka hota hai. Us waqt bhi bachay masjid ke hall mein Quran par rahay thay. Isha ki azaan mein sirf 5 mint rehtay thay. Mein ye dekh ker forun hujray se wapis ho gaya tha. Muje ye dekh ker bohat sadma huwa, mere Iman aur yaqeen per chot lagi, Naik honay ka dawa karnay wala aur naiki ki rah dikhanay wala insaan itni pak jaga per ye itni buri harkat ker raha tha. Kuch der baad wo Imam mere pass aya aur mujse mafi mangi is harkat per aur Allah se toba karnay ka b kaha is kay liye. Uski is tara ki harkat ke baray mein aik dafa pehlay b kisi ne shikayat ki thi, lekin Imam sb ne wazahat wagera se us muamlay mein apnay apko bacha liya tha. Ab mein faisla nahi kar pa raha ke is wakiye ka masjid intazamia se zikr karun ya Imam sb ki baat per bhrosa karun, ke wo tauba ker lein gay is per. Muje der hai kay aur bachon kay saath b istara ki harkat na kartay hon ya aur bachay b is gunah ka shikar na ho rahay hon in Imam sb ki waja se. Mein ab unkay peechay namaz b nahi par raha kyun kay jb b unhain dekhta hun to wo manzar samnay a jata hai. Kia meri namaz unkay peechay ho g? Please meri rehnumai farmayen ke mein iska zikr masjid intazamia se karun ya Imam sb ki baat per bhrosa karun ke galti ho gayi hai. Masjid ke hujary mein hi unki rihaish hay, waldain doosray shehr mein rehtay hain. Imam sb ki aik dafa shadi toot chuki hai aur ab akalay hain,